Home
Poetry
Categories
آوازِ قلم
Poets
About Us
Contact Us
urdu
آوازِ قلم
Home
Poetry
Categories
Poets
About Us
Contact Us
urdu
Sher
Mir Anees
Garmi se muztarib tha zamaana zameen par
Bhun jaata tha jo girta tha daana zameen par
Sher
Tha hukam yeh Yazid ka, pani bashar piyen
Jab ran mein sar buland Ali ka alam hua
Siwa-e-khaak ke baqi asar nishaan se na the Zameen se dab gaye dabte jo aasman se na the
Laga raha hoon mazameen-e-nau ke phir ambar Khabar karo mere kheerman ke khosha cheeno ko
'Anis' dam ka bharosa nahin, thahar jao Chiraagh le ke kahaan samne hawa ke chale
Guldasta-e-maani ko naye rang se bandhun Ek phool ka mazmoon ho to sau rang se bandhun
'Anis' aasan nahin aabaad karna ghar-e-mohabbat ka Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
Ashk-e-gham, dida-e-pur-nam se sambhaale na gaye Yeh wo bachche hain jo maan baap se pale na gaye
Tamaam umar jo ki hum se be-ruukhi sab ne Kafan mein hum bhi azizoN se mooh chhupa ke chale
Tamaam umar isii ehtiyaat mein guzri Ki aashiyan kisi shaakh-e-chaman pe baar na ho
Aashiq ko dekhte hain doopatte ko taan kar Dete hain hum ko sharbat-e-didar chhan kar