Honthon pe kabhi unke mura naam hi aaye
Aaye to sahi bar sar-e-azmaam hi aaye
Hairaan hain lab bastah hain dilgheer hain gunchay
Khushboo ki zubaan se tera paighaam hi aaye
Lamhaat-e-musarrat hain tasavvur se girezaan
Yaad aaye hain jab bhi gham o aalaam hi aaye
Taaron se saja leinge reh shaher-e-tamanna
Maqdoor nahi subah chalo shaam hi aaye
Kya raah badalne ka gila hum safaron se
Jis raah se chale tere dar o baam hi aaye
Thak haar ke baithay hain sar-e-kuye tamanna
Kaam aaye to phir jazba-e-naakaam hi aaye
Baaqi na rahe saakh ada' dast-e-junun ki
Dil mein agar andesha-e-anjaam hi aaye