Ghazal

Nasir Kazmi

Nasir Kazmi

Aaj to be sabab udaas hai ji
Ishq hota to koi baat bhi thi

Jalta phirta hoon main dopehron mein
Jaane kya cheez kho gayi meri

Wahin phirta hoon main bhi khaak basar
Is bhare sheher mein hai ek gali

Chhupata phirta hai ishq duniya se
Phailti ja rahi hai ruswai

Hum nasheen kya kahoon ke woh kya hai
Chhod yeh baat neend udne lagi

Aaj to woh bhi kuch khamosh sa tha
Main ne bhi us se koi baat na ki

Ek dum uske honth choom liye
Yeh mujhe baithay baithay kya soojhi

Ek dum uska haath chhod diya
Jaane kya baat darmiyan aayi

Tu jo itna udaas hai Nasir
Tujhe kya ho gaya bata to sahi

Ghazal